केले के छिलके फायदे Kele ke chhilke ke (Banana cover guard benefits Skin)
2 November 2020
Add Comment
Read >> केले का फूल बचाता है कई बीमारी से
Roj ek Kela khane se anek fayde hote hain, Lekin kya aap jante hain ki Sirf Kela hi nahi, Iska Chhilka bhi bahut upyogi hota hain. Yadi aap Kela kha kar uska Chilka phenk dete hain, to aisa mat kijiye. Aaj hum aapko batane ja rahe hain Kele ke chhilko(guard) ke fayde ke baare mein :-
1. Kele ke chhilko ko halke haatho se chehre par 5 minutes tak ghisne se pimples door ho jate hain.
2. Iske Chhilko ka paste bana kar lagane se chehra glow karne lagta hain.
3. Kele ke chhilke ko daanto par ragadne se daant chamakne lagte hain.
4. Jab koi Keeda kaat le to oos jagah par Kele ke chhilko ko pees kar lagane se aaram milta hain.
5. Psoriasis hone par Kele ke chhilko ko pees kar lagaye. Isse daag bhi chale jate hain aur aaram milta hain.
6. Thakaan mahsoos hone par Kele ke chhilke ko thodi der aankho par rakh le, rahat milegi.
7. Leather bag, Belt aur shoe dull dikhne lage ho, to oon par Kela ka chhilka ragadne se unme chamak aa jati hain.
8. Yadi aap jhurriyo se preshan hain to Ande ki jardi mein Kele ke chhilke ko mila kar lagaye. Isse jhurriya khatm ho jati hain. Iska paste chehre par 5 minutes tak lagaye. Phir chehra dho le.
9. Yadi sharir mein kanhi bhi dard ho to Kele ka chhilka oos jagah par laga kar 30 minutes tak chhod de, dard se rahat milegi.
0 Response to "केले के छिलके फायदे Kele ke chhilke ke (Banana cover guard benefits Skin) "
Post a Comment
Thanks for your valuable feedback.... We will review wait 1 to 2 week 🙏✅