तेजपत्ते के फायदे जरूर जाने fayde Benefits Bay Leaf hindi


Tej Patta Jise Tej Pat ya Bay Leaf kaha jata hain is ke bahut hi fayde hain. Indian kitchen mein khane ka swaad aur khushboo badhane ke liye istemal mein laya jane wala Tej Patta (Bay Leaf) ek mahatvpoorn masala hain.
Photo of Bay Leaf (Tej Patta)
Ise Tejpaat (Tez Patta) bhi kaha jata hain. Iska swaad kadwa hota hain aur sukhne ke baad yeh bilkul kadak ho jata hain. Swaad aur khusboo ke mamle mein yeh kafi hud tak Dalchini ke jaisa hota hain. 

Yeh powder ke roop mein bhi asaani se mil jata hain, Lekin hum sabhi ise patte ke roop mein jyada istemal karte hain. Tej Patte ko kai bimariyo ke ilaj ke liye istemal mein laya jata hain.(यहाँ क्लिक कर जाने क्या क्या खाने से चमकने लगता है चेहरा)

Aaiye jante hain Tej Patte se sehat ko hone wale fayde ke baare mein :-

Ghaav (Jakhm) bharne mein kargar

Tejpatta ghaavo ko jaldi bharne mein bahut hi madadgar hota hain. Saanp (Snake) kaatne par zehar nikalne se lekar keede-makaude ke kaatne jaisi samsyaon ke ilaj mein iska istemal kiya jata hain. In patto ke tel mein Anti-Fungal aur Anti-Bacterial gun hota hain, jo skin ko ifection se bachata hain.

Joo ko kare door

Seer mein Joo se preshan hain, to Tej Patta aapke bahut kaam aa sakta hain. Paani mein Tej Patto ko acchi tarah se masalkar daale aur usay khoob ubaale. Jab tak Paani aadha na rah jaye. Is paani ko baalo ki jado mein lagaye. Joo ki samsya door ho jayegi. Saath hi baal bhi ghane aur chamakdaar hote hain.

Diabetes ka ilaj

Type-2 Diabetes ke ilaj mein Tej Patta bahut hi faydemand hota hain. Yeh blood glucose, cholesterol aur triglyceride ke level ko kam karta hain. Iske jaldi asar ke liye in patto ka powder lagatar 30 dino tak istemal karte rahna chahiye. Isse heart sahi tarike se kaam karta hain. Tez Patta Anti-Oxidants se bharpoor hota hain jo Diabetes kafi hud tak control karta hain.

Digestion ke liye jaroori

Khane mein Tejpaat ke istemal se digestion sahi rahta hain. Saath hi pet ki jalan ki samsya ko bhi door karta hain. Garam paani mein Tej patte ko mila kar peene se gas, apach, kabz jaisi samsyaon se chhutkara milta hain. Apach ki problem hone par Tejpatta aur Adrak ko paani mein daal kar acche se ubaale. Paani kam hon jane par usme Shahad mila kar din mein 2 baar peene se kafi aaram milta hain. Bukhaar ki samsya mein bhi is nuskhe ka istemal kiya ja sakta hain.

Cardiovascular Health

Tej patta Phytonutrients se bharpoor hota hain, Jo Cardiovascular bimariyo jaise Heart attack aur stroke ki sambhavna ko kam karta hain. Iske alawa isme Salicylates, Phytonutrients, Routine, Caffeic acid mauzood hote hain jo heart ke function ko sahi rakhte hain. Is tarah ki kisi bhi sambhavna nazar aane par Tejpatta aur Gulab ke phoolo ko paani mein acchi tarah se ubaale jab tak paani aadha na rah jaye. Thanda hone par ise piye.

Sardi Jukaam mein aaraam

Sardi-Jukam ya kisi bhi prakar ke anya infection se chhutkara dilane mein Tejpatte ka istemal bahut hi kargar hota hain. Saans ki bimariyo mein aaram ke liye 2-3 Tej patte ko paani mein 10 minutes tak ubaale. Is paani mein cotton ya towel ko bhigo kar nichod le aur usay seene par rakhe. Tej patte se bani hui chaaye (tea) bukhaar mein bahut jaldi aaraam dilati hain.

Dard mein aaram

In patto se nikalne wale tel mein Anti-Inflammatory gun paye jate hain jo dard, ainthan, Arthritis, Khichaav aadi ko door karne mein madadgar hote hain. Yeh pimples ko theek karte hain. Kaan ke peeche iske tel ki malish karne se Migraine aur seerdard mein aaram milta hain. Blood circulation ko sahi rakhne ke saath hi yeh jodo ke dard ko bhi door karte hain. Paani mein Tez patta daal kar ubale aur thanda karke piye.

Periods ki samsya mein

Folic Acid se bharpoor Tej Patta pregnancy ke 3 mahine pahle aur baad, dono hi situation mein sharir ki kami ko puri karta hain. Saath hi shishu ke janm ke samay hone wali kai problems ko door karta hain. (यहाँ क्लिक कर जाने 5 तरह की होती हैं लड़कियां ऐसे मानेंगी आपकी हर बात)

Garmiyo mein, jyada khatta khane se aur kuch karano se naak se khoon nikalna ek aam samsya hain. Iske liye 2-3 Tej patte ko paani mein ubale jab tak paani aadha na rah jaye. Thanda hone par ise pee le. Naak se khoon nikalna band ho jata hain.

Sahi neend ke liye

Sone se pahle Tejpaat ko kisi bhi roop mein lene se neend acchi aati hain. Iske liye Tej patte ko paani mein milaye aur acche se chalte huye ise pee le. Sahi neend sehat ke liye bahut hi jaroori hain.

Baalo se dandruff mitane mein

Sirf khane ka swaad hi nahi badhata hain, Balki health ko bhi sahi rakhta hain. Baalo ki jhadne ki samsya se preshan hain to iska istemal aaj se hi shuru kar dijiye.

Kidney stone ki problem Khatm

Tej patta na sirf Kidney ke infection ko door karta hain, Balki Stone ki samsya ko bhi khatm karta hain. Stone problem hone par garam paani mein Tej patte ko ubaale aur thanda karke piye. Kafi fayda hota hain.

0 Response to "तेजपत्ते के फायदे जरूर जाने fayde Benefits Bay Leaf hindi"

Post a Comment

Thanks for your valuable feedback.... We will review wait 1 to 2 week 🙏✅

Iklan Atas Artikel

Iklan Tengah Artikel 1

Iklan Tengah Artikel 2

Iklan Bawah Artikel