एकाग्रता कैसे बढ़ाये विधि रहस्य | How to Increase concentration


Concentration meaning in hindi - एकाग्रता मान बड़ा ही चंचल होता है. अब ऐसे में इसे कैसे संभाले, कैसे शांत रखे एक बड़ी चुनौती लगती है. पर मान पर काबू पाना भी ज़रूरी है मान की शक्ति बढ़ने के लिए मान की एकाग्रता बढ़ने के लिए. चलिए तो फिर जानते हे की मान की एकाग्रता कैसे बढ़ाए.

 क्या आपको ऐसा प्रतीत हो रहा है की आपकी ज़िंदगी में तनाव बढ़ता जेया रहा है. आपका मान काबू में नहीं रहता है और कहीं ना कहीं भागता रहता है. अगर आपका मान अशांत है तो हमारे पास कुछ उपाय हैं जिन्हे आज़माकर आप अपने मान को शांत कर सकते हैं. आइए जाने क्या हैं वो उपाय?

how to increase concentration and memory power man ki ekagrata tips in hindi
  • मान जितना निर्मल होगा उतना ही शांत होगा, और फिर जितना शांत रहेगा उतना ही एकाग्रा.
  • बातें तो सभी करते है ये करो वो करो लेकिन कैसे कोई नही बताता. आपने गाँधी जी के तीन बंदर के बारे मे सुना होगा बिल्कुल वैसा ही करना है पर तोड़ा मॉडिफाइ करके. जैसे –
  • बुरा मत देखो पर अच्छा ज़रूर देखो.
  • बुरा मत सुनो पर अक्चा ज़रूर सुनो.
  • बुरा मत बोलो पर अक्चा बोलते रहो.
  • आप ध्यान(मेडिटेशन) कर सकते है. ध्यान से मान निर्मल स्वाकच्छा हो जाता है.
वैसे देखा जाए तो ध्यान सबसे बड़ा साधन है मान की एकाग्रता और मान की शक्तिया  बढ़ने का.
Dhyan ke dwara Man ko shaant karne ke liye aankhen band kar aap100 baar gehree saans len aur bahar nikalen. Iske baad daayin taraf ki naak ko band kar baayin taraf ki naak se saan len aur phir daayin taraf ki naak se saans ko bahar karen. Aisa 10 baar karen. Apka man shaant ho jayega. Jo vichaar apke man ko ashant kar rahe hain unhe ek kagaz par likhen. Apni samasyaon ke bare mein har baat likhen. Iske baad us kagaz ko jala den.Aisa karne se apka man kabu mein aa jayega aur apko shanti prapt hogi.

  Kalakaar Bankar - Apne man ko kabu mein rakhne ki liye kuch der ke liye kalakaar ban jayen. Kuch rang le len aur apne vicharon ka rangeen chitra banayen. Iske saath hi apni pasand ke mahan logon dwara kahe huye aashavardhak vakya ko baar-baar padhen. Un chitron ko bhi dekhen jo apko shanti pradan karte hain.

  Bahar ghoom kar - Apne man ko shaant karne ke liye kuch der bahar ghoom aayen. Aap kisi park mein jaa sakte hain. Samundar wale shahar mein rahte hain to samandar ke kinare jaa sakte hain. Iske saath hi sunsaan sadak par gaadi chala sakte hain lekin dhyan rahe ki gadi ki raftaar kam hone chahiye.

  Khud ki tareef karke Ek suchi banaye jisme apni woh saari baten likhen jinse aap pyar karte hain. Apni un bato ko yaad karen jinke karan aapko sabhi se kabhi na kabhi tarif sunne ko mili hai. In sab baton ko yaad kar aap sochen ki aapne abhi tak accha hi kiya hai aur aap hamesha safal ho jayenge. Is prakar ke vichaar apke man ko shanti denge.

  Chunaoti ko swikar karke Yeh pata lagayen ki apka man ashant kyon hai. Agar aap ko koi kaam kathin lagta hai aur isi wajah se hi aap ashaant hai ki woh kaam kaise hoga to is chunoti ko swikaar kar lijiye. Apne khali samay mein us kaam ki hi practice kijiye. Ho sakta hai aap us kaam mein 20-25 baar asafal ho jaayen par apni koshish jaari rakhiye. Ek samay aap us kaam mein perfect ho jayenge aur apke man ko shanti prapt hogi.

  Sangeet sunke Man ashant ho to sangeet bhi sun sakte hain. Woh gaane sune jo apko bahut acche lagte hain. Kisi bhi ek gaane ko pura sunne ki bajay thode-thode alag-alag gaane sune. Isse apka man puri tarah gaano ki taraf aakarshit ho jaayega aur apka man shant ho jaayega.

  Thanda Pani Pikar Man kabu mein nahin ho to thanda pani pijiye. Thoda-thoda ruk-ruk kar piyen. Paani ki sheetalta apke man ko shaant karegi. Iske saath hi pani se bheega hua ramal apni ankhon par rakhen. Isse man shant hoga.

  Surya ki roshni mein rahen Kuch samay surya ki roshni mein bitayen. Surya ki roshni mein vitamin D hota hai jo sharir mein serotonin ki matra mein vradhi karta hai. Serotonin sharir mein maujood woh rasayanik tatva hai jisse dimag sakaratmak sochta hai. Is prakar serotonin ki matra badh jaane se apka man prasann rahega aur apko shaanti ki prapti hogi.

  Kitab padhkar Man ke kabu mein nahin hone par kitab padhiye. Woh kitab padhen jo apko sabse acchi lagti ho. Yadi kisi ped ke neeche baithkar ya shaant jagah par baithkar kitab padhen to aur accha rahega. Is prakar apka dhyan badlega aur aap apne man ko kabu mein rak payenge.

  Apno ke saath samay bitayen Man ashant hone par unse milen jo apke nazdik hon. Ye apke rishtedaar ya khaas dost ho sakte hain. Unke saath hasi mazak ke saath samay bitayen. Unki sune aur unkee baaton par apni rai den. Is prakar karne se unki baten apke man ko shaant kar dengi aur aap apne man ko kabu mein rakh payenge.

  Concentration Ekagrata badhane ke Fayde कशी वाढवावी एकाग्रता बढाने के उपाय एकाग्रता का अभ्यास

 Aap sab ka khayal rakhne lagte ho, man saaf hone ki wajah se sabke dil se jude rehte ho. Aap job hi chahoge, jisse chahoge kam hoga zaroor. Kyonki aapki soch ki power badh jati hai, bohot badh jati hai. Jo padhoge jo dhyan me rakhna chahoge wo seedha brain mein utar jayega. Kyonki aap ki brain power bohot badh jayeg. Aap jisase bhi baatein karoge wo direct dil se dil tak karoge. Aur bas isiliye wo bohot effective rahegi. Ye batane ki to kisi ko zaroorat nahi hoti ke aap kaise apne man ko nirmal rakh sakte ho par dhyan shayad sabko nahin ata, to jante hai dhyan ke bare mein.

  Dhyan kaise kare

Dyan karna bohot hi saral hai. Ise aap roj adha ghanta kar sakte hai, subah nahane ke bad sabse badhiya samay rehta hai tab man bhibada shant rehta hai. Pehle to aap padmasan mein beth jaye. Fir thodi der tak yoga practice kare. Aap kapalbhati kar sakte hai. Fir aapko apne shwasoshwas par dhyan rakhna hai. Fir aankhe bandh kar le. Saans kab andar aa rahi hai aur kab bahar jaa rahi hai. Man mein bohot wichar ayenge par kuch bhi sochna nahi hai. Sirf saans par dhyan rakhe sab vichar apne aap gayab ho jayenge. Ise practice karte rahe. Apne aap dhyan mein chale jayenge. Badme aapko anubhav hoga ke aapke sar se leke paav tak, visheshta peeth par ek urja beh rahi hai. Ise cosmic energy (vishwa ki urja) kehte hai. Adhe ghante baad aap apna hath ankho pe ghumaye. Aur dheere dheere ankhe khole. Ab aapko bohot hi aacha mehsoos hoga. Sab ekdam shant shant lagega. Ek research se pata chala hai ki dhyan karnevalo ko jyada accha lagta hai so ke uthne walo ke mukable aur dhyan karne wale log apna kam jyada ekagra hokar kar sakte hai. Aur jo cosmic energy aapke andar ati hai wo aapke sabhi dosh, kashta mitati hai. Bas itna hi karna hai, par roj karna hai. Fir direct aapki man ki ekagrata kai guna badh jayegi.

1 Response to

Thanks for your valuable feedback.... We will review wait 1 to 2 week 🙏✅

Iklan Atas Artikel

Iklan Tengah Artikel 1

Iklan Tengah Artikel 2

Iklan Bawah Artikel