जाने ये ऑफर Sirf 49 Rupaye mein 24 Ghante kare Calls
19 August 2015
Telecom companies ne naye sire se Landline ko badhawa dena shuru kar diya hain. BSNL ke baad desh ki dusri sanchar company Bharti Airtel ne bhi Landline ke grahko ki sankhya badhane ke liye ek nayi scheme launch ki hain. Halaki, Bharti Airtel ne apne Mobile aur Landline dono ke broadband grahko ke liye sabhi din 24 ghante kisi bhi network par free voice call ki sewa launch ki hain. Company ne apne broadband par sirf 49 Rupees ke masik shulk par unlimited local calls ki suvidha di hain.
99 Rupaye mein kare STD calls
Broadband Connection par focus karne mein juti Airtel ne Local ke saath hi STD plan bhi jari kiya hain. Isme 99 Rupaye mein Unlimited STD Call karne ki suvidha dene ka ailan kiya hain. Yeh call kisi bhi tarah ke phone par ki ja sakti hain.
2.78 Crore Landline Customers
Desh mein Landline phone Customers ki sankhya lagatar ghat rahi hain. Abhi Landline Grahko ki sankhya mahaz 2.78 Crore hain. Jabki Mobile Connection ki Sankhya 100 Crore ke kareeb hain. Haal hi mein sarkar Landline Connection ko badhava dene ki koshish kar rahi hain. Jankaro ka kehna hain ki Airtel ki taraf se ki gyi yeh ghoshna Net Neutrality par uski image ko huye nuksaan ki bharpaai ke liye ki gayi hain.
Bsnl ne diya tha Night Plan
Bsnl ne pichle hafte hi apni broadband ya landline ke liye raat ko 9 baje se subah 7 baje tak desh mein kanhi bhi Free mein call sewa dene ki ghoshna ki hain. Airtel ne BSNL ki kaat khojne ke liye hi yeh aakarashak Landline yojana pesh kiya hain.
BSNL ki free Internet ki suvidha
BSNL is waqt sabse jyada internet services par focus kar raha hain. Iske tahat F/y 2015-16 mein pure desh mein 2500 Wi-Fi hot spot lagaye jayenge. Jin par shuru mein 30 minutes Free Internet ki suvidha hogi. Uske baad customers ke plan ke mutabik charge lagega. Company iske liye desh ke main cities mein hot spot laga rahi hain.